Showing posts with label Ghazals. Show all posts
Showing posts with label Ghazals. Show all posts

Monday, September 26, 2011

Humko dushman ki nigahon

Humko dushman kee nigahon se na dekha keeje
Pyaar hi pyaar hain hum humpe bharosa keeje

Chand yaadon ke siwa haath na kuch aayega
Is tarah umr-e-gureza ka na peecha keeje

Roshni auron ke aangan mein gawara na sahee
Kam se kam apne ghar mein to ujaala keeje

Kya khabr kab wo chale aayenge milne ke liye
Roz palkon pe nayee shamme jalaya keeje

- Sung by Chitra Singh

Monday, July 18, 2011

Le chala jaan meri

le chala jaan meri rooth ke jana tera
aise aanay se to behtar tha na aana tera

tu jo ay zulf pareshaan raha karti hai
kis ke ujre howay dil mein hai thikana tera

aarzu he na rahi subh e watan ki mujh ko
shaam e ghurbat hai ajab waqt sunhana ter

apni aankhon mein abhi kond gayi bijli si
hum na samjhe ke yeh aana hai ke jaana tera

tu khuda to nahi, ae naaseh naadaan mera
kya khata ki jo kaha maine na maana tera

le chala jaan meri rooth ke jana tera
aise aanay se to behtar tha na aana tera

-Daag Dehlvi

Note:

1) See performance by Abida Parveen here

2) For complete translation see Ek Fankar's Blog

Monday, June 20, 2011

Apni Dhun Mein Rehta Hoon

Apni dhun mein rehta hoon
Main bhi tere jaisa hoon

O picchli rut kay saathi
Abke Baras main tanha hoon

Teri gali mein sara din
Dukh kay kankar chunta hoon

Mera diya jalaye kaun
Main tera khali kamra hoon

Apni leher hai apna rog
Dariya hoon aur pyasaa hoon

Aati rut mujhe royegi
Jaati rut ka jhonka hoon

Apni dhun mein rehta hoon
Main bhi tere jaisa hoon

- Written by Nasir Kazmi , Sung by Ghulam Ali

Saturday, June 04, 2011

Mohabbat karney waley

Mohabbat karNe wale kam nah hoNge
Teri mehfil main lekin hum nah hoNge

Zamaane bhar ke gham yah ik tera gham
Yeh gham hoga to kitNe gham nah hoNge

Dilon ki uljah ne bardti rahengi
Agar kuch mushWare baaham nah hoNge

Agar tu ittifaaqan mil bhi jaeN
Teri furqat ke sadMai kam nah hoNge

'Hafeez' oon se mein jit na badGumaaN hooN
Woh mujh se is qadar barham na hoNge

-Hafeez Hoshiarpuri

Listen to this beautiful ghazal by Mehdi Hassan on YouTube

Ye aarzoo thee

yeh aarzoo thi tujhe gul ke ru-ba-ru karte
hum aur bulbul-e-betaab guftagu karte

payaam bar na mayassar hua to khoob hua
zabaan-e-ghair se kyaa shar ki aarzoo karte

meri tarah se maah-o-mahar bhi hain aavaaraa
kisi habib ko ye bhi hain justajoo karte

jo dekhte teri zanjeer-e-zulf kaa aalam
aseer hone ke aazaad aarzoo karte

na poochh aalam-e-baragashtaa taali-e-"Aatish"
barasati aag main jo baaraan ki aarzoo karte

- Sung by Abida Parveen

Saturday, October 02, 2010

Tum aao to sahi


'Dreamworld' by Neha

Tum ko hum dil mein basa lengay tum aao to sahi
sari duniya se chupa lengay tum aao to sahi

ek wada karo ab hum se na bichro gay kabhi
naaz hum sareY utha legay tum aao to sahi

bewafa bhi ho, sitamgar bhi, jafa peshah bhi

hum khuda tum ko bana lengay tum aao to sahi
raah tareek hai aur door hai manzil lekin
dard ki shammain jala laingay tum aao to sahi

tum ko hum dil mein basa lengay tum aao to sahi
saari duniya say chupa lengay tum aao to sahi


-Mumtaz Mirza

Key to Urdu Words: Basa: To dwell, Naaz: Pride, Jafa: Oppression,Taareek: Dark

Listen to this beautiful ghazal by Chitra Singh here

Thursday, June 26, 2008

Ranjish Hi Sahi..

Ranjish hi sahi dil hi dukhaanay kay liyay aaDespite the anguish, come to touch my heartaa phir say mujhay chhorr kay jaanay kay liyay aaCome, even if to leave me again
pehlay say maraasim na sahi phir bhi kabhi to
If not for our past relationship
rasm-o-rahay duniya hi nibhaanay kay liyay aa
Come to fulfill the rituals of the world

kis kis ko bataayengay judaai kaa sabab ham
Whom all must I give the explanation of (this) separation
tu mujh se khafaa hai to zamaanay kay liyay aa
If not for me then come for the worldly courtesy

kuchh to meri pindaar-e-mohabbat ka bharam rakh
Respect a little the depth of my love for youtu bhi to kabhi mujh ko manaanay kay liyay aaCome someday to placate me as well (as I do)

ek umr say hun lazzat-e-giryaa se bhi mehruum
Too long have I been deprived of the longing for your loveaye raahat-e-jaan mujh ko rulaanay kay liyay aaCome love, if only to make me cry again
maana ke mohhabbat ka chupana hai mohhabat

Agreed that hiding love is (also) sign of love
chupkey se kisi roz jataney keliye Aa
(Nevertheless) someday secretly come to express your love 

jaisey tujey aatey hain na aaney ke bahaney
Just like you know excuses to not come
aisey he kisi roz na janey keliye Aaaa-
Some day make an excuse to come

ab tak dil-e-khush_feham ko tujh say hain ummeedainEven now, my silly heart has some expectations from you
ye aakhari shammain bhi bujhaanay kay liyay aa
Come to blow these last candles of hope if you like

Ranjish hi sahi dil hi dukhaanay kay liyay aaDespite the anguish, come to touch my heart..

References:

1) Part of this Translation ( with some changes to reflect my understanding) is from http://www.egothemag.com/urdupoetry/archives/2005/10/ranjish_hi_sahi.html . Urdu poetry ( like any poetry ) can be a bit lost in translation but meaning ( without being literal) can help understand the poetry with or without rhyme

2) Listen to Ranjish Hi Sahi at You Tube ..I dig both versions!

a) By Runa Laila : http://www.youtube.com/watch?v=lUtUqD-9Yf4