Showing posts with label Rahat Indori. Show all posts
Showing posts with label Rahat Indori. Show all posts

Saturday, November 13, 2010

Jo tera tha

"Droplets" by Neha

Jo maal tera tha kal tak wo ab paraye ka hai
Yahi rivaz mere shahar ki saraye ka hai

Isiliye to musalsal shikast khate hai
Hamari fauj main senapati kiraye ka hai

Jo doston ki tarah milta hai andhere main
Wohi ujala to dushman hamare saaye ka hai

Dikhai deta hai jo bhediye ke honthon par
Wo laal doodh hamari safed gaaye ka hai

Sharif log bhi 'rahat' se milne julne lage
Wo ab sharab ka aashiq nahi hai chaaye ka hai

- Rahat Indori

Sunday, October 17, 2010

Dosti jab kisi se ki jaye

" To the other side" by Neha


Dosti jab kisi se ki jaye
Dushmanon ki bhi raye li jaye

Maut ka zahar hai fizaon may
Ab kahan ja ke sans li jaye

Bas isi soch may hun duba hua
Ye nadi kaise par ki jaye

Mere mazi ke zakhm bharane lage
Aj phir koi bhul ki jaye

Botalen khol ke to pi barason
Aj dil khol ke bhi pi jaye

- Rahat Indori

Saturday, October 16, 2010

Log har mor pe

"Pause" by Neha

log har mor pe ruk ruk k sambhalte kyun hain
itna darte hain to phir ghar se nikalte kyun hain

main na jugnu hun diya hun na koi tara hun
roshni wale mere nam se jalte kyun hain

nind se mera talluq hi nahin barson se
khwab a a k meri chat pe tahalte kyun hain

mor hota hai jawani ka sambhalne k liye
aur sab log yahin ak phisalte kyun hain

- Rahat Indori

Saturday, July 03, 2010

Kya kya hai

"The Flight" by Neha

Gulaab, khwab, dawa, zeher, jaam, kya kya hai
Mai aa gaya hoon bata intezaam kya kya hai

Faqeer, shah, qalandar, imaam kya kya hai
tujhe pata nahee tera ghulam kya kya hai

Naye safar ka naya intzaam keh dengey
Hawa ko dhoop chirago ko shaam keh dengey

Kisee se haath bhee chupkar mila-e-ye
Varna isey bhee maulwi sahab haram keh dengey

Loo bhee chaltee thee to woh badey saba kehtey they
Pao phailaye andhero ko ziya kehtey they

Unka anjaam tujhe yaad nahee hai shayad
Aur bhee log they jo khud ko khuda kehtey they

Sooraj, sitarey, chaand merey saath mein rahey
Jab tak tumharey haath merey haath mein rahey

Shakhaon se toot jaayein woh pattey nahee hain hum
aandhee se koi keh de ke auwkat mein rahey

Kabhee mehek kee tarah hum gulo se udtey hain
Kabhee dhooye kee tarah parvat se udtey

Ye kaincheeyan humein udney se khaak rokengee
kee hum paro se nahee hoslon se udtey hain

kee humein labey deeyo kee hawa mein uchaltey rehna
gulo ke rang pe tezaab daaltey rehnaa

Mai noor bankey zamaney mein pher jaaoonga
Tum aftab mein keedey nikaltey rehna

- Rahat Indori

Notes: What a lovely poem....hear Rahat Indori's awesome , funny and moving recital here: http://www.youtube.com/watch?v=XroXS-k_XOw&feature=related

[Key to Urdu words: Ziya = Light, Qalandar = Sufi, Aftab = Sun]

Hum Qalandar Hain

"Road sign" by Neha

kaam sab ghair zaruuri haiN jo sab karte haiN
aur hum kuchh nahiiN karte haiN ghazab karte haiN

hum pe haakim kaa koii hukm nahiiN chaltaa hai
hum qalandar haiN, shahanshaah laqab karte haiN

aap kii nazroN meN suuraj kii hai jitnii azmat
hum chiraaGoN kaa bhii utnaa hii adab karte haiN

dekhiye jisko use dhun hai masiihaaii kii
aajkal shahroN ke biimar matab karte haiN

-Rahat Indori