Showing posts with label Abida Parveen. Show all posts
Showing posts with label Abida Parveen. Show all posts

Saturday, November 19, 2011

Tujh lab ki sifat

"Spread" by Neha

Tujh lab ki sifat laal-e-badaksha soo kahoonga
Jaadu hai tere nain, ghazala soo kahoonga


Jalta hu shabon roz tere gham me ey saajan
Yaha soz tera misal-e-soja soo kahoonga


Mujh par na karo zulm tum ey lailiye khuba
Majnoon hu tere gham ko bayamban soo kahoonga


Dekha hu tujhe khwaab mein ey maya-e-khubi
Is khwaab ko ja yusuf-e-tanha soo kahoonga


Di baadshahi haq mein tujhe husn nagar ki
Ja kishwar-e-imaan-e-suleman soo kahoonga


Yak nukta tere safaye rukh par nahi beja
Is mukh ko tere safa-e-Quran soo kahoonga

- Written by Wali Dakkani, Sung by Abida Parveen


Key to urdu words: Sifat - quality, like/similar to ; lab = lips; laal = ruby; gazaalaaan = deer;so= compare to, badakhshaan= place in Afghanistan famous for its rubies

Friday, July 29, 2011

Baat Shanasai ki

" A wish" by Neha

kubaku phail gayee baat shanasai ki
us ne khushboo ki tarah meri pazirai ki

kaise kah dun k mujhe chor diya hai us ne
bat to sach hai magar bat hai ruswai ki

wo kahin bhi gaya lauta to mere paas aaya
bas yahi baat hai achee merey harjai ki

tera pahlu tere dil ki tarah abad rahe
tujh pe guzre na qayamat shab-e-tanhai ki

us ne jaltee hui peshani pe jo hath rakha
rooh tak a gai tasir masihai ki

- Parveen Shakir

Listen to this ghazal on YouTube by Abida Parveen and Mehdi Hassan

Monday, July 18, 2011

Le chala jaan meri

le chala jaan meri rooth ke jana tera
aise aanay se to behtar tha na aana tera

tu jo ay zulf pareshaan raha karti hai
kis ke ujre howay dil mein hai thikana tera

aarzu he na rahi subh e watan ki mujh ko
shaam e ghurbat hai ajab waqt sunhana ter

apni aankhon mein abhi kond gayi bijli si
hum na samjhe ke yeh aana hai ke jaana tera

tu khuda to nahi, ae naaseh naadaan mera
kya khata ki jo kaha maine na maana tera

le chala jaan meri rooth ke jana tera
aise aanay se to behtar tha na aana tera

-Daag Dehlvi

Note:

1) See performance by Abida Parveen here

2) For complete translation see Ek Fankar's Blog

Saturday, June 04, 2011

Ye aarzoo thee

yeh aarzoo thi tujhe gul ke ru-ba-ru karte
hum aur bulbul-e-betaab guftagu karte

payaam bar na mayassar hua to khoob hua
zabaan-e-ghair se kyaa shar ki aarzoo karte

meri tarah se maah-o-mahar bhi hain aavaaraa
kisi habib ko ye bhi hain justajoo karte

jo dekhte teri zanjeer-e-zulf kaa aalam
aseer hone ke aazaad aarzoo karte

na poochh aalam-e-baragashtaa taali-e-"Aatish"
barasati aag main jo baaraan ki aarzoo karte

- Sung by Abida Parveen

Sunday, May 01, 2011

Ek bass tu hi nahee

Southern Gardens by Paul Klee ( 1936)

Ek bass tu hi nahin mujhse khafa ho baitha
Mainey jo sang taraasha tha khuda ho baitha

Uth ke manzil hi agar aaye to shayad kuchh ho
Shauq-E-Manzil to mera aablaa-pa ho baitha

Masalaht cheen gayi quwwat-e-guftaar magar
Kuchh na kehna hee mera meri kata ho baitha

Shukriya ai mere qaatil ai masiha merey
Zehar jo tuney diya tha wo dawa ho baitha

Jaan-e-shahazaad ko min-jumlaa-e-ada pa kar
Huuk wo utthi ki ji tan se juda ho baitha

- Farhat Shehzad

Key to urdu words: Khafa: Angry, Annoyed, Displeased, Sang: Stone, Taraashaa: Carving ; Shauq-e-Manzil: Eager search of the goal/destination, Aabalaa-paa: Blistered Feet;Maslehat: Public interest, a thing that is right or wrong, Cheen-na: Snatching, Quvvat: Strength, Guftaar: Conversation, Discourse, Speech, Talk, Quvvat-e-Guftaar: Strength of Speech, Sadaa: Sound, Tone, Voice, Qaatil: Killer, Masihaa: God ( as Christ) , Zehar : Poison, Dawa: Medicine , Shehzad: A reference to the poet, Farhat Shehzad, Min-jumla-e-ada: fragile state, Huuk: shooting pain ( translation thanks to Ek Fankaar )

Notes: Listen to beautiful renditions of this ghazal on YouTube by Abida Parveen and Mehdi Hassan