Showing posts with label Chitra Singh. Show all posts
Showing posts with label Chitra Singh. Show all posts

Saturday, May 24, 2014

Ek na ek shamma

Ek na ek shamma andhere mein jalaye rakhiye
Subah hone ko hai maahawl sajaaye rakhiye

Jinke haathon se hume zakm-e-neha pahunchi hai
Wo bhee kehte hain ke zakhmon ko chupaaye rakhiye

Kaun jaane ke wo kis raah-guzar se guzre
Har guzar raah ko phoolon se sajaaye rakhiye

Daaman-e-yaar ki zeenat na bane har ansoo 
Apni palkon ke liye kuch to bachaaye rakhiye 

- From the album "Unforgettable" by Chitra Singh & Jagjit Singh

Listen on YouTube here

Monday, September 26, 2011

Humko dushman ki nigahon

Humko dushman kee nigahon se na dekha keeje
Pyaar hi pyaar hain hum humpe bharosa keeje

Chand yaadon ke siwa haath na kuch aayega
Is tarah umr-e-gureza ka na peecha keeje

Roshni auron ke aangan mein gawara na sahee
Kam se kam apne ghar mein to ujaala keeje

Kya khabr kab wo chale aayenge milne ke liye
Roz palkon pe nayee shamme jalaya keeje

- Sung by Chitra Singh

Saturday, October 02, 2010

Tum aao to sahi


'Dreamworld' by Neha

Tum ko hum dil mein basa lengay tum aao to sahi
sari duniya se chupa lengay tum aao to sahi

ek wada karo ab hum se na bichro gay kabhi
naaz hum sareY utha legay tum aao to sahi

bewafa bhi ho, sitamgar bhi, jafa peshah bhi

hum khuda tum ko bana lengay tum aao to sahi
raah tareek hai aur door hai manzil lekin
dard ki shammain jala laingay tum aao to sahi

tum ko hum dil mein basa lengay tum aao to sahi
saari duniya say chupa lengay tum aao to sahi


-Mumtaz Mirza

Key to Urdu Words: Basa: To dwell, Naaz: Pride, Jafa: Oppression,Taareek: Dark

Listen to this beautiful ghazal by Chitra Singh here

Saturday, September 06, 2008

Ye to nahee kee gam nahee..

Ye toh Nahi ke Gam Nahi ….
Haan Meri Aankh Nam Nahi…

Tum bhi Toh Tum Nahi ho Aaj
Hum bhi Toh Aaj Hum Nahi …

Ab naa Khushi ki hai khushi ….
Gam ka bhi ab to gam Nahi…

Maut agar-cheh Maut hai ….
Maut se ye zindagi bhi to kam Nahi …

Yeh toh Nahi ke Gam Nahi ….
Haan Meri Aankh Nam Nahi…

- Sung by Chitra Singh

Key to words : Gam :sadness, Nam : moist, agar-cheh :although

Listen to this beautiful ghazal at YouTube : http://www.youtube.com/watch?v=H9xaqON0sXE