Monday, July 18, 2011

Le chala jaan meri

le chala jaan meri rooth ke jana tera
aise aanay se to behtar tha na aana tera

tu jo ay zulf pareshaan raha karti hai
kis ke ujre howay dil mein hai thikana tera

aarzu he na rahi subh e watan ki mujh ko
shaam e ghurbat hai ajab waqt sunhana ter

apni aankhon mein abhi kond gayi bijli si
hum na samjhe ke yeh aana hai ke jaana tera

tu khuda to nahi, ae naaseh naadaan mera
kya khata ki jo kaha maine na maana tera

le chala jaan meri rooth ke jana tera
aise aanay se to behtar tha na aana tera

-Daag Dehlvi

Note:

1) See performance by Abida Parveen here

2) For complete translation see Ek Fankar's Blog

No comments: