Showing posts with label Maa. Show all posts
Showing posts with label Maa. Show all posts

Thursday, December 27, 2012

Thodee Lali Aur Kari

Branch of Almond Tree in Blossom Red - Vincent Van Gogh
Lali mere lal ki, jit dekhu titt lal.
Lali dekhan main gayi, main bhi ho gayi lal.

*****
Naino ki kari kothari,
putali palang bichhãi;
palako ki chik darike,
piya ko liyã rijhãi.

- Kabir

Saturday, November 19, 2011

Kharey panee ko

"Make a Wish" by Neha


Samundar ke kharey panee ko meetha kardey
Ya phir meree aankhon ko pathar kardey

- As remembered

ae khuda ret ke sehra ko samandar kar de
ya chhalakti aankhon ko bhi patthar kar de

tujhko dekha naheen mehsoos kiya hai maine
aa kisi din mere ehsaas ka paikar kar de

aur kuch bhi mujhe darkaar nahin hai lekin
meri chaadar mere pairon ke baraabar kar de

- As sung by Jagjit Singh

Key to urdu words: ret ke sehra = sand castles,paikar = real/concrete ,darkaar = lack, chaadar=sheet of cloth

Thursday, October 13, 2011

Pehla Kavi

Viyogi hoga pehla kavi,
Aah se upja hoga gaan,
Nikal kar nayanon se chupchap,
Bahi hogi kavita anjaan.

- Sumitra Nandan Pant

Dono or prem palta hai,
Priye, patang to jalta hi hai
Dipak bhee jalta hai.

 -Maithli Sharan Gupt

Kewal badal nahin aankh ko,
Thodi si dopahar bhi lena
Jeetey jeete marte hain sab,
Tum marte marte jee lena

Jab thakan sindhu ho jai,
Aur chetna lagey doobne
Baith hridaya ke madiralai mein,
Tab -Tab dard sura pi lena.

-RamSanehi Lal Sharma 'Yayawar'

 Courtesy: Manish Chauhan

Wednesday, November 05, 2008

Zindagi

Thandee ratoo ke thandey ehsason kee chup chup raat ke baad,
Subah kee gunguni dhoop, pankhdiyo par giri chamaktee os hai zindagi,
Bikhartey bichadtey rishto kee sameekaran see hai zindagee,
Yoon chamaktey maasom bacchey kee muskan see hai zindagee,
Kuch bhee kahee bhee nahee, phir bhee vasudhaiv kutumbkam hai zindagi.