Thursday, November 22, 2007

Jinhen main dhoondtaa thaa ..


Blue sky above Lagos by Patrick Mayon
(see image information below)

Jinhen main dhoondtaa thaa aasmaanon mein zameeno mein
vo nikale mere zulmat-e-Khaanaa-e-dil ke makiino mein

mahiine vasl ke ghadiyon kee soorat udatey jaatein hain
magar ghadiyaan judaaee kee guzaratee hain mahino mein

mujhe rokegaa tu ai naaKhudaa kyaa garq hone se
ki jin ko doobna hai doob jaate hain safiino.n mein

jalaa sakatii hai sham-e-kushtaa ko mauj-e-nafas un kee
ilaahii kyaa chhupaa hotaa hai ahal-e-dil ke seeno mein

tamannaa dard-e-dil kii ho to kar Khidamat faqeero.n kee
nahee milataa ye gauhar baadshaaho.n ke Khazeeno mein

muhabbat ke liye dil dhoondh koi Tootnevaalaa
ye vo mai hai jise rakhate hain naazuk aab_giino mein

buraa samajhoon unhein mujh se to aisaa ho nahee saktaa
ki main Khud bhii to hoon "Iqbal" apane nuktaachiino mein

Allama Iqbal



Key to Urdu Words: zulmat-e-Khaanaa-e-dil = darkened house that is (my) heart, makiin = resident, vasl = to come together, naaKhudaa = boatsman; garq = drowning; safiinaa = boat, sham-e-kushtaa = extinguished candle/flame, mauj-e-nafas = waves of (one's) breath,gauhar = pearl; Khaziino.n = riches/treasure, aab_giinaa = delicate decanter (wine container) made of glass,nuktaachii.n = critic

Image Information: This image is from http://flickr.com/photo_zoom.gne?id=436989640&context=photostream&size=o