Showing posts with label Bahadur Shah Zafar. Show all posts
Showing posts with label Bahadur Shah Zafar. Show all posts

Friday, May 27, 2016

Itna na apne jame se

Abanindranath Tagore 
  - Bahadur Shah Zafar, Rekhta.org

Tuesday, February 23, 2010

Yaar tha Gulzar tha

Wilderness by Neha

yaar tha gulzar tha bad-e-saba thi main na tha
layaq-e-pa-bos-e-jan kya hina thi main na tha

hath
kyon bandhe mere chala agar chori hua
ye
sarapa shokhi-e-rang-e-hina thi main na tha

main
ne pucha kya hua wo ap ka husn-o-shabab
hans k bola wo sanam shan-e-Khuda thi main na tha

main
sisakta rah gaya aur mar gaye farahad-o-qais
kya unhin donon k hisse mein qaza thi main na tha

Bahadur Shah Zafar

Urdu Word Key : Gulzar= garden, saba = morning, qaza = judgement

Sunday, September 07, 2008

Hamney duniya mein aakey kya dekha

hamney duniyaa mein aakey kya dekhaa
dekha jo kuchh so Khvaab-saa dekhaa

hai to insaan khaak kaa putala
lek paani kaa bulbula dekha

Khoob dekha jahan ke Khuubaan ko
ek tujh saa na duusaraa dekhaa

ek dam par havaa na baandh habaab
dam ko dam bhar mein yaan havaa dekhaa

na huye terii Khaak-e-paa ham ne
Khaak mein aap ko milaa dekhaa

ab na diije "Zafar" kisii ko dil
ki jise dekhaa bevafaa dekhaa


- Bahadur Shah Zafar

Word-key:lek (a short form of lekin)=but,Khuubaa.N=beauties,habaab=bubble, Khaak-e-paa=dust of the feet (paao.n kii dhuul), aap=self (in the context used here)

Source:Urdupoetry.com

Saturday, September 01, 2007

Lagta nahee hai...

(see image information below)
.

lagata nahee hai jee mera ujadey dayaar mein
kis kee banee hai aalam-e-naa-paayedaar mein
.
[ My heart is not happy in this barren land
Who has ever felt fulfilled In this temporary world]
.
keh do in hasaraton se kahee aur jaa basen
itnee jagah kahaan hai dil-e-daaGadaar mein
.
[Please tell my desires * to go away somewhere else
there is not enough room for them in my sad heart]
.
bulabul ko baagabaan se na saiyyaad se gilaa
qismat mein qaid thee likhee fasal-e-bahaar mein
.
[The nighthingale laments neither to the gardnerer nor to the hunter
Imprisonment was written in fate in the season of spring]
.
umr-e-daraaz maang ke laaye the chaar din
do aarazu mein kat gaye, do intzaar mein
.
[I had requested for a long life a life of four days
Two were spent in wishing* and two were spent in waiting]
.
hai kitna badnaseeb zafar dafn ke liye
do gaz zameen bhee na milee ku-e-yaar mein
.
[ How unlucky Zafar is !For his burial
he could'nt get even two yards of earth in my beloved country]
.
- Bahadur Shah Zafar
.
About the Poet: Bahadur Shah Zafar was the last Mughal King of India and is regarded as one of the greatest Urdu Poets in Indian history. The British exiled Zafar to Rangoon ( now Yangon, Myanmar ) where he lived the last few years of his years yearning to return to his homeland. He died in Rangoon in 1862 and is buried there. The above poem was written by Zafar as his epitaph
.
References:
.
1) Read more about Bahadur Shah Zafar at wikipedia http://en.wikipedia.org/wiki/Bahadur_Shah_II
2) For a good collection of Zafar's poetry see http://www.urdupoetry.com/zafar.html
3) The English translation is from http://www.cs.colostate.edu/~malaiya/zafar.html and wikipedia ( except words marked by * , which I find more closer to the intended meaning)
Image Information: This image if from http://www.flickr.com/photos/jzakariya/191481747/