Sunday, October 17, 2010

Dosti jab kisi se ki jaye

" To the other side" by Neha


Dosti jab kisi se ki jaye
Dushmanon ki bhi raye li jaye

Maut ka zahar hai fizaon may
Ab kahan ja ke sans li jaye

Bas isi soch may hun duba hua
Ye nadi kaise par ki jaye

Mere mazi ke zakhm bharane lage
Aj phir koi bhul ki jaye

Botalen khol ke to pi barason
Aj dil khol ke bhi pi jaye

- Rahat Indori

2 comments:

NadeemSiddiqui said...

good poetry like always!

have a read of below poetry;
poet is none else than myself:

waqt kay tar per hain muddat say
yaad kay sookhtay nahi kapray
................
na tay hoga tum say yeh wo merhala hai
sunbhelna hai dil ka, koi mushghala hai!
judai say pehlay usay ja kay milna
usay chhornay ka bohat tajraba hai

meray bin wo kaisay jiay ga pata hai
main ji na sakun ga to yeh bermala hai
........................

poem

mukhtaser hai
yeh zindagi to kia
saath mil jai ger tumhara to
mukhtaser ka bhi
eitraaz nahi !!

hope you like it

regards
nadeem

NadeemSiddiqui said...

Dil main Hota to yeh mumkin hai nikal bhi jata....
ab to wo shakhs bohat door talak hai mujh main !!


regards
nadeem