Sunday, September 07, 2008

Hamney duniya mein aakey kya dekha

hamney duniyaa mein aakey kya dekhaa
dekha jo kuchh so Khvaab-saa dekhaa

hai to insaan khaak kaa putala
lek paani kaa bulbula dekha

Khoob dekha jahan ke Khuubaan ko
ek tujh saa na duusaraa dekhaa

ek dam par havaa na baandh habaab
dam ko dam bhar mein yaan havaa dekhaa

na huye terii Khaak-e-paa ham ne
Khaak mein aap ko milaa dekhaa

ab na diije "Zafar" kisii ko dil
ki jise dekhaa bevafaa dekhaa


- Bahadur Shah Zafar

Word-key:lek (a short form of lekin)=but,Khuubaa.N=beauties,habaab=bubble, Khaak-e-paa=dust of the feet (paao.n kii dhuul), aap=self (in the context used here)

Source:Urdupoetry.com

1 comment:

PeeKayZee said...

हमने दुनिया में आ के क्या देखा
देखा जो कुछ सो ख्वाब-सा देखा

है जो इन्सान खाक का पुतला
लेक(इन) पानी का बुलबुला देखा

खूब देखा जहाँ के खुबान को
एक तुझ सा न दूसरा देखा

एल दम प् हवा ना बांध हबाब
दम को दम भर मैं यान हवा देखा

न हुए तेरी ख़ाक-इ-पा हम ने
खाक में आप को मिला देखा

अब न दीजे "ज़फर" किसी को दिल
के जिस को देखा बेवफा देखा

--बहादुर शाह ज़फर