Sunday, January 25, 2009

Door se door talak ek bhee darakht na tha

Door se door talak ek bhee darakht na thaa
tumhaare ghar kaa safar is qadar to saKht na thaa

[daraKht = tree; saKht = difficult/hard]

itney masroof they ham jaaney kii taiyaaree mein
khadey them tum aur tumhein dekhney kaa vaqt ka thaa

[masroof = busy]

main jis kee khoj mein Khud kho gayaa tha meley mein
kaheen vo meraa hee ehasaas to kambakht na thaa

[Khoj = search,kambakht = unfortunate]

jo zulm sah ke bhii chup rah gayaa na Khaul uThaa
vo aur kuchh ho magar aadamii kaa rakt na thaa

[Zulm = atrocity, Khaul = boil; raqt = blood]

unhii.n faqiiro.n ne itihaas banaayaa hai yahaa.N
jin pe itihaas ko likhane ke liye vaqt na thaa

[itihaas = history]

sharaab kar ke piyaa us ne zahar jiivan bhar
hamaare shahar me.n 'Neeraj'-saa ko_ii mast na thaa

- Gopaldas Neeraj



No comments: