Saturday, November 01, 2008

Sitaron se ulajhta ja raha hoon

Sitaron se ulajhta jaa raha hun
Shab-e-furqat bahut ghabra raha hun

Tere gam ko bhi kuch bahla raha hun
Jahaan ko bhi samjhaa raha hun

Yaqin ye hai haqeeqat khul rahi hai
Gumaan ye hai ki dhokhe khaa raha hun

Agar mumkin ho le le apni aahat
Khabar do husn ko main aa raha hun

Haden husn--o-ishq ki milakar
Qayamat par qayamat dhaa raha hun

Khabar hai tujhko ai zabt-e-mohabbat
Tere haathon mein lut ta ja raha hun

Asar bhi le raha hun teri chup ka
Tujhe kaayal bhi karta jaa raha hun

Bharam tere sitam kaa khul chuka hai
Main tujhse aaj kyon sharma raha hun

Tere pehlu mein kyon hota hai mehsus
Ki tujhse dur hota jaa raha hun

Jo uljhi thi kabhi aadam ke haathon
Vo gutthi aaj tak suljha raha hun

Mohabbat ab mohabbat ho chali hai
Tujhe kuch bhultaa-saa jaa raha hun

Ye sannata hai mere paav ki chaap
'Firaq' apni kuch aahat paa raha hun

Firaq Gorakhpuri

No comments: