Sunday, October 05, 2008

Madhuban Khushboo Deta hai

Madhuban khushboo deta hai, saagar saawan deta hai
Jeena uska jeena hai, jo auro ko jeewan deta hai
Madhuban khushboo deta hai

Suraj na ban paaye to, banke deepak jalta chal
Phool mile ya angaare, sach ki raaho pe chalta chal
Pyaar dilo ko deta hai, ashqo ko daaman deta hai
Jeena uska jeena hai, jo auro ko jeewan deta hai
Madhuban khushboo deta hai

Chalti hai lehraake pawan, ke saans sabhi ki chalti rahe
Logo ne tyaag diye jeewan, ke preet dilo mein palti rahe
Dil woh dil hai jo auro ko, apni dhadhkan deta hai
Jeena uska jeena hai, jo auro ko jeewan deta hai
Madhuban khushboo deta hai...

No comments: