( See image information below)
aah ko chaahiye ek umr asar hone tak
kaun jeetaa hai teri zulf ke sar hone tak
kaun jeetaa hai teri zulf ke sar hone tak
.
daam har mauj mein hai halqaa-e-sad _kaam-e-nahang
dekhen kyaa guzare hai qatare pe gauhar hone tak
daam har mauj mein hai halqaa-e-sad _kaam-e-nahang
dekhen kyaa guzare hai qatare pe gauhar hone tak
.
aashiqi sabr-talab aur tamanna betaab
dil kaa kyaa rang karun Khuun-e-jigar hone tak
aashiqi sabr-talab aur tamanna betaab
dil kaa kyaa rang karun Khuun-e-jigar hone tak
.
ham ne manaa ke taGaaful na karoge lekin
Khaak ho jaayenge hum tum ko Khabar hone tak
ham ne manaa ke taGaaful na karoge lekin
Khaak ho jaayenge hum tum ko Khabar hone tak
.
partav-e-Khuur se hai shabanam ko fanaa kii taaliim
main bhii hoon ek inaayat kii nazar hone tak
partav-e-Khuur se hai shabanam ko fanaa kii taaliim
main bhii hoon ek inaayat kii nazar hone tak
.
yak nazar besh nahii.n fursat-e-hastii Gaafil
garmi-e-bazm hai ik raqs-e-sharar hone tak
yak nazar besh nahii.n fursat-e-hastii Gaafil
garmi-e-bazm hai ik raqs-e-sharar hone tak
.
Gam-e-hastii kaa 'Asad' kis se ho juz marg ilaaj
shammaa har rang mein jalati hai sahar hone tak
shammaa har rang mein jalati hai sahar hone tak
.
Mirza Ghalib
Key to Urdu Words: aah = a sign of cry/ grief / yearning , daam = net/trap; mauj = wave; halqaa = ring/circle, sad = hundred; nahang = crocodile; sad_kaam-e-nahang = crocodile with hundred jaws, gauhar = pearl, sabr-talab=patient,partav-e-Khuur = sun's rays; shabanam=dew,fanaa = perish; inaayat = favour, tagaaful=neglect/ignore, yak = one , besh = excess; Gaafil = ignorant, raqs = dance; sharar = flash/fire, juz = other than; marg = death
.
References:
1) For a good collection of Ghalib's poetry see http://www.urdupoetry.com/
2) For reading Ghalib's poetry in Hindi font see Ghalib at Kavita Kosh
3) Listen to Begum Akhtar singing "Aah koo chaahiye ek umra " at YouTube http://uk.youtube.com/watch?v=ih6BTkJ1Ujc
4) Listen to Jagjit Singh singing " Aah ko chaahiye ek umra.." at YouTube http://www.youtube.com/watch?v=lUlyOEhnGg4
5) Read the meaning of lines from"Aah ko chahiye.." at ebazm..http://www.ebazm.com/discus/messages/6/2035.html?1115823378
.
Image Information: This image is from http://www.flickr.com/photos/lynnieb/1129684204/
3 comments:
Good resource. Being very fond of ghazals and literature, I really liked the stuff posted on this blog. I Appreciate.
Good...but where shall i found the complete translation of the song
" aah ko chaahiye ik umr asar hone tak "
Bilal...here's one: http://audiopoetry.wordpress.com/2007/11/04/aah-ko-chahiye/
Post a Comment