Saraktee jaye hai rukh se naqaab ahista ahista
nikalataa aa raha hai aaftaab ahista ahista
Jawaan hone lage jab vo to ham se kar liyaa pardaa
hayaa yakalakht aayii aur shabaab ahista ahista
Shabefurkat kaa jaagaa hoon farishton ab to sone do
kabhee fursat men kar lenaa hisaab ahista ahista
Savaalevasl par unko uduu kaa khauf hai itna
Dabey honthon se dete hain javaab ahistaa ahistaa
Hamarey aur tumharey pyar men bass fark hai itna
Idhar to jaldee jaldee hai udhar aahistaa aahistaa
Woh bedardee se sar kaatein "ameer" aur main kahoon un se
Huzoor aahistaa aahistaa, janaab ahista ahista
- Written by Ameer Menai, Sung by Jagjit Singh
Key to urdu words: sarakti - to slip, naqab - veil, ahista - slowly, aftaab - ( vision of) moon, yakalaKht - modesty/shame, shabefurkat - night of separation, savaalevasl - question-answers, uduu - villian,
No comments:
Post a Comment