"Story" by Neha
Deepak Raag Hai Chahat Apni Kahe Sunayen Tumhein
Hum To Sulagte Hee Rehte Hain Kyun Sulgaien TumheinTark-e-Muhabbat Tark-e-Tammana Kar Chukne K Baad
Hum Pay Yeh Mushkil Aan ParRI Hai Kaisey Bhulaien Tumhein
Deepak Raag Hai Chahat Apni..
Sannata Jab Tanhai Key Zehar Mein Bhujhta Hai,
Woh Ghariyaan Kyoon Kar Kat' ti Hain Kaise Bataien Tumhein
Deepak Raag Hai Chahat Apni Kahe Sunayen Tumhein
Jin Baaton Ne Pyaar Tumhara Nafrat Mein Badla
Darr Lagta Hai Woh Baatien Bhee Bhool Naa Jayen Tumhien
Deepak Raag Hai Chahat Apni Kahe Sunayen Tumhein
Hum To Sulagte Hee Rehte Hain Kion Sulagaien Tumhien...
- Zahoor Nazar
Here's the Hindi version !
दीपक राग है चाहत अपनी काहे सुनाएँ तुम्हें
हम तो सुलगते ही रहते हैं क्यूँ सुलगाएं तुम्हें
तर्क -ए -मुहब्बत तर्क -ए -तम्मना कर चुकने के बाद
हम पे यह मुश्किल आन पडी है कैसे भुलाएँ तुम्हें
दीपक राग है चाहत अपनी ..
सन्नाटा जब तन्हाई के ज़हर में भुझता है ,
वोह गहराइयाँ क्यूं कर कट ' टी हैं कैसे बतैएँ तुम्हें
दीपक राग है चाहत अपनी काहे सुनाएँ तुम्हें
जिन बातों ने प्यार तुम्हारा नफरत में बदला
डर लगता है वोह बातें भी भूल ना जाएँ तुम्हे
दीपक राग है चाहत अपनी काहे सुनाएँ तुम्हें
हम तो सुलगते ही रहते हैं क्यूँ सुलगाएं तुम्हे ...
- ज़हूर नजर
Resources:
1) Listen to this beautiful ghazal sung by Pakistani singer Shahida Parveen
2) I love the version sung by this YouTube singer as well
7 comments:
Wonderful lines and a fitting picture... Neha! don't u think these lines deserve to be written in Hindi or you've some other reason for this?! Why not try this http://old.quillpad.in/hindi/ as Hindi editor?
Thanks Chandra. The lines are beautiful whichever language/script we may write them in isn't it? The Hindi editor looks very useful..will surely try it !
true... दीपक राग है चाहत अपनी - in any language it would sound beautiful!
Zahoor Nazar ki kia baat hai, aap inki aik poem "pathrao" bhi zarur parhain , what a poem bhai!! if you dont find i shall write you next time nice to see you Neha , apka zouq bohat umda hai
regards
nadeem siddiqui
verynadeem@hotmail.com
Thank you Nadeem. I couldn't find "pathrao" online. Please do share it!
"Pathrao"(By Zahoor Nazar)
dard Thamta bhi nahi
had se guzarta bhi nahi
bhool ker thujh ko Ajab haal hua hai dil ka
saal ha saal se dil
mundamil hota hua ghao hai
doobti hai koi hasrat
na ubharti hai umeed
behr e alaam main
tufan hai na thehrao hai
ufaq e zeest pe tal'at hai na tareeki hai
her taraf dhund ka
mohoom sa kujrao hai
saahil e chashm pe moti hain,
na taaray hain, na ashk
soch ka haath hai
ehsaas ka pathrao hai !
doobti bhi nahi
seedhi bhi nahi hoti hai
umr ki lehr pe jan ulti hui nao hai
takhtian jiski
teray payar se paivastah hain
baadban jiska mearay saans ka phailao hai
saans rukta bhi nahi
theek se chalta bhi nahi
bhool ker tujh ko
ajab haal hua hai dil ka
glossary: behr e alaam=sea of pain
mundamil hota hua= in healing process
ufaq e zeest= horison of my life
tal'at= light,Roshni
paivastah= nailed up, fixed
hope you like it
regards
nadeem
dard Thamta bhi nahi
had se guzarta bhi nahi
Beautiful! Thank you so much for sharing
Post a Comment