"Ghalib's Haveli in Delhi" by Neha |
ya ilahee! ye majra kya hai?
[ mushtaaq = interested, bezaar = displeased]
Main bhee mooh mein zabaan rakhta hoon
Kash! poocho kee "mudda kya hai?
[ mudda = concern/ issue]
Jaan tum par nisaar karta hoon
Mai nahee jaanta kee khuda kya hai
Bas ki dushwar hai har kaam ka aasaan hona
Aadmi ko bhee mayassar nahiin insaan hona
[Dushwaar=difficult; Mayassar=possible]
Jalwa fir arz-e-naaz karta hai
Roz-e-baazaar-e-jaaN_sipaaree hai
[ jalwa = splendour, jaaN_sipaaree = resigning one's life into the hands of another ]
Karne gaye the; usse taGHaaful ka ham gila
kee ek hee nigaah ki bas KHaak ho gaye
[ taGHaaful = negligence, gila = complaint, KHaak = dust/ashes ]
Ishq mujhko naheeN, wehshat hee sahee
Meree wehshat, teree shohrat hee sahee
[ wehshat = solitude, shohrat = fame ]
Apnee hastee hee se ho, jo kuchch ho !
Aagahee gar naheeN GHaflat hee sahee
[ hastee = existence, aagahee = knowledge/information, GHaflat = negligence ]
Fir mujhe deeda-e-tar yaad aaya
Dil jigar tashna-e-fariyaad aaya
[ deeda-e-tar = wet eyes, tashna (or tishna ) = thirsty ]
Aa, ki meree jaan ko qaraar naheen hai
Taaqat-e-bedaad-e-intazaar naheeN hai
[ qaraar = rest/repose, bedaad = injustice ]
Poochtey hain woh ki 'Ghalib' kaun hai ?
Koi batlao ki ham batlaayain kya ?
No comments:
Post a Comment