Pollard Willows with Setting Sun by Van Gogh - 1888
Ishrate qatrah hai, dariya mein fana ho jana
Dard ka hudd se guzarna hee dawa ho jana
Tujh se qismat mein reri soorate qafle abjad
Tha likha, baat ke bante hi juda ho jana
Dil hua kashmakash charai zahmat mein tamam
Mit gaya ghisne mein is uqdey ka wa ho jana
Ab jafa se bhi hain mahroom hum allah allah!
Is qader dushmane arbabe wafa ho jana!
Zof se giryah mubaddil bah dam serd hawa
Bawer aaya hamein pani ka hawa ho jana
Dil se mitna teri angusht hinaee ka khayal
Ho gaya gosht se nakhun ka zuda ho jana
Hai mujhe abre bahari ka baras ker khulna
Rote rote game furqat mein fana ho jana
Gar nahin nikhate gul ko tere koche ki hawas
Kiyon hai girde rahe jolane saba ho jana
Bakhshe hain jalwai gul joshe tamasha Ghalib!
Chashm ko chahiye her rang mein wa ho jana
Taki tujh per khule ajaz hawai saiqal
Daikh bersatmein sabz aiene ka ho jana
- Mirza Ghalib
Key to urdu words: Ishrat- heartfelt wish (desire), qatrah- drop of water , fana- to get destroyed (mit jana)
2 comments:
thanks for putting this up...
cheers!!!!
Wow. Ghalib was a genios. And you have selected on of his best poems. Love.
Post a Comment