" Thinking of Razia" by Neha
Khudaa khair karey
Aayi zanjeer ki jhankaar Khudaa khair karey
Dil huaa kiskaa giraftaar Khudaa khair karey
Aayi zanjeer ki jhankaar
Jaaney ye kaun meri rooh ko chhookar guzraa
Jaaney ye kaun
Jaaney ye kaun meri rooh ko chhookar guzraa
Ek qayaamat huyi bedaar
Ek qayaamat huyi bedaar
Khudaa Khair karey
Lamhaa lamhaa meri aankhon mein khinchi jaati hai
Lamhaa lamhaa meri aankhon mein khinchi jaati hai
Ek chamakti huyi talwaar Khudaa Khair karey
Ek chamakti huyi talwaar
Dil hua kiska giraftar khuda khair karey
Aayi zanjeer ki jhankar
Khoon dil kaa na chhalak jaaye kahin aankhon se
Khoon dil kaa na chhalak jaaye meri aankhon se
ho na jaaye kahin izhaar
ho na jaaye kahin izhaar
ho na jaaye kahin izhaar Khudaa khair kare
- From the Hindi movie " Razia Sultana", Lyrics by Jaan Nissar Akhtar, Sung by Kabban Mirza, Music by Khayyam
Learn more about this ghazal's story at : http://tinyurl.com/4fq56c8 .Incidentally, I recently visited Razia Sultana's (debated) tomb and today bumped into this otherworldly song from the movie "Razia Sultana"... serendipity - as usual!
Listen to this beautiful ghazal in Kabban Mirza's voice at : http://www.youtube.com/watch?v=HKlFQMXQ694
No comments:
Post a Comment