Ahalya by A.Ramachandran |
koi soorat nazar nahin aati
maut ka ek din mu'ayyan hai
neend kyun raat bhar nahi aati
aage aati thi haal-e-dil pe hasee
aab kisi baat par nahi aati
jaanta hoon sawaab-e-taa'at-o-zahad
par tabiyat idhar nahin aati
hai kuch aisee hi baat jo chup hoon
warna kya baat kar nahin aati?
kyon na cheekhon ki yaad karate hain
mere awaaz gar nahin aati
daag-e-dil gar nazar nahin aata
boo bhi aye chaaraagar! nahin aati
hum wahan hain jahaan se humko bhi
kuch humari khabar nahin aati
marte hain aarzoo mein marne ki
maut aati hai par nahin aati
kaaba'a kis munh se jaaoge 'ghalib'
sharm tumko magar nahin aati
- Mirza Ghalib